Badnazri (lusful glance) ke 14 nuqsanat by Maulana Shah Muhammad Akhtar Saheb.
Badnazri ke 14 nuqsanat By Shaikh ul Arab wal Ajam Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Saheb (ra)
ℳuashre ko tabaah karne me aham kirdaar “bad nazri” ka bhi he, yani mardo ka gair mahram aurto ko dekhna or Aurto ka gair mahram mardo ko dekhna. Ye bahut khatarnaak fitna he, ye “ZINA” ki pehli sirhi (step) he, is se bade bade fitno ka darwaza khulta he.
Allah ne be hayaai or badkari ka darwaza band karne ke liye musalmano ko “NAZRO KI HIFAZAT ” ka hukm diya.
“AAP MUSALMAAN MARDO SE KEH DO KE WO APNI NIGAHEIN NICHI RAKHEIN OR APNI SHARMGAAH KI HIFAZAT KAREIN, YE UN KE LIYE ZYADA PAKIZA BAAT HE, BE SHAK ALLAH KHOOB WAQIF HEIN UN KAMO SE JO WO LOG KARTE HEIN
OR AAP KEH DEIN MUSALMAAN AURTON SE WO BHI APNI NIGAHEIN NICHI RAKHEIN OR APNI SHARMGAAH KI HIFAZAT KAREIN ” (sure noor: 30,31)
Bad nazri ki hurmat ki takid is baat se bhi maloom hoti he ke Qur'an me jab allah ne namaz, roza, zakat wagera ka hukm dena chaha to mardo se khitab farmaya or aurato ko mardo ke hukm me dakhil farmaya, alag se hukm nahi diya.
Jab BAD NAZRI se rokna chaha to mardo or aurto ko alag alag aayto me hukm diya.
Chunche sure noor ki aayat 30 me mardo ko hukm diya or aayat 31 me aurto ko hukm diya.
Bad NaZri se Bachna kitna Zaruri he ?? Is ka andaza hame is waqie se hoga.
Hz Umme Salma Radiyallahu Anha farmati hein ek roz me or hazrat maymuna Radiyallahu Anha dono Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ke pass bethi hui thi ke achanak hazrat AbduLLah Ibne Umme MakTum Radiyallahu Anhu aa gae to Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne hame hukm diya ke Tun Dono ander chali jaao, mene arz kiyaa: “Ya Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam wo to nabina (andhe) hein, wo hame nahi dekh sakte” Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne JawaB diya:
“TUM TO NABINA NAHI HO ? TUM TO UN KO DEKH RAHI HO !! ”(Abu Dawood & Tirmizi)
BaD NaZRi ALLah ki La'NaT ka sabab he.
✾ Hz HaSan BaSri Rahmatullahi Alayhi Bayan karte he ke Muje ye baat pohchi he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irShaD Farmaya:
ALLah ne La'NaT ki he Dekhne Wale par, or us par bhi jis ko Dekha gaya. (ℳishKaaT: 270)
Is irShade Nabwi se maloom huwa ke Jo Mard kisi NaMaHraM Aurat ko ya kisi ke Satar ko Dekhta he us par aLLah ki La'NaT nazil hoti he or wo aLLah ki RahMaT se mahroom ho jata he.
Isi TaraH Jo AuraT chahti he use Dekha jaae ya BanSanwar kar nikalti he us par bhi aLLah ki La'NaT he or wo bhi aLLah ki RahMaT se mahroom ho jaTi he.
BaD NaZRi ke NuQsaNaaT
AaJ HaMare ℳuashare me Bad NaZri bahut aam ho gayi he, is GunaaH se naujawaan to tabaah huwe hi Lekin Filmo or Tv ki wajah se chhote chhote bachcho or bachchiyo ko bhi is nashe ki AaDaT Par gayi he, Burhe bhi is Gunaah se apne aap ko bachaa nahi pate.
BaD NaZRi jaha ek khatarnaak gunaah he wahi Deeni or Dunyawi NuQsaNaat ka bahut bada sabab he.
BaD NaZRi se hone wale NuQsaNaaT ka jab jaaeza Lenge to pata chalega BahuT sari Bimariyo ka iLaaj ham Doctors ke pass TaLaaSh karte rahe jab ke sahih iLaaj ‘BaD NaZRi ’se bachne me tha.
Chalo shuru karte hein “BaD NaZRi ke NuQsaNaaT” ko ginna.
" kya tum jante nahi ho ke aLLah tumhe dekh raha he ? "
Bad NazRi se bach ne ke Liye bahut sare iLaaj bataae gaye, in iLaajo me se jo bhi munasib samjhein us ke zarye se jald az jald is muhLik bimaari ka iLaaj kiya jaae warna yahi bimaari ‘ zina ’ jese khatarnaak jurm ko janam deti he.
Badnazri (Lustful Glance) Urdu book by Hazrat Pir Maulana Zulfiqar Ahmed Naqashbandi This Islamic book available for free download apk format.. This Islami book Published by Maktaba Milat Deo Band UP India. read about Bad Nazri ki tabahkarian aur ilaj and Bad Nazri k Nuqsanat in Urdu. You may read Nazar e Bad (Evil Eyes) by Irshad ul Asri and Badnazri Aur Ishq e Mijazi ki tabah kariyan aur us ka ilaj by Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar
Namaz ka tarika is a very useful android namaz app to learn...
Kids Room Decorations app is collection of kids room Design Ideas with...
If you are looking forward to learn to read Quran in Arabic,...
Simple application is being provided to you to get the blessings of...
The Holy Quran is divided into 30 chapters also known as Thirty...
Masnoon Duain is fully equipped with essential Quraniduain which are practice over...
Created with AppPage.net
Similar Apps - visible in preview.