Back to Top
Mistakes of Females in Namaz Screenshot 0
Mistakes of Females in Namaz Screenshot 1
Mistakes of Females in Namaz Screenshot 2
Mistakes of Females in Namaz Screenshot 3
Free website generator for mobile apps; privacy policy, app-ads.txt support and more... AppPage.net

About Mistakes of Females in Namaz

✿ Aurto’n Ko Namaz Ki Khaas Taakeed ,*
┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat Jab Panj waqta Namaz padhe aur Ramzan ke Roze rakhe aur Paak daaman rahe aur Shohar ki farmabardaari kare to Jannat ke Jis darwaze se chahe Jannat mai dakhil ho jaye _,”
*📁Mishkaat -186 Ba hawala-Abu Naiem ,*
*┱Tashreeh _,* _ is hadees Mubarak mai Aurat ko chand kaam anjaam dene per Jannat ki basharat di gayi hai , har Musalman Aurat ko in per Amal karna laazim hai , Avval Panj waqta Namaz padhne ko farmaya , Namaz har baalig Mard Aurat per Paanch waqt farz hai , in Paanch Waqto ko Sab Musalman jaante hai’n, Harj ho Marz ho ,safar ho hazar ho ,Dukh ho takleef ho ,ranj ho khushi ho ,Jis haal mai bhi ho jaha’n bhi ho Paanch waqt Namaz Padhna farz hai ,
┱ Aaj kal nafarmani ka Daur hai ,Allah Ta’ala ke Hukmo se gaafil rehne aur gunaho mai lat pat rehne ki fiza hai ,Bahut kam Mard Aurat ese hai’n Jinko khuda Wand Quddus ke Ahkaam per Amal karne ki fikr hai , Jab Maa’n Baap gaafil hai’n to Aulaad bhi be deen ho jati hai ,
┱Bahut se gharane ese hai’n Jinme 24 ghante mai kabhi kisi waqt bhi na Koi Namaz padhta hai na Dua ,na kalma Zubaan per aata hai, Kis Qadar Ranj ki baat hai k Poore Poore ghar Allah ki yaad se khaali ,Haalat dekh kar maloom hota hai k Mahalle ke Mahalle khuda ke nafarmaano se abaad hai’n, Jis kisi gali se guzro to gaano ki awaaze aati hai magar Bachche ke Qur’an Padhne ki awaaz nahi aati , inna lillaahi wa inna ilaihi raaji’uon,

Be-Namazi Ka Hashr _,*
┱ Namaz ki Pabandi har baalig Mard aur Aurat per laazim hai, Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Namaz ki pabandi ki ( Qayamat ke Din ) Namaz Uske liye Noor hogi aur ( Uske Imaan ki ) daleel aur ( Uske liye ) nijaat ka samaan hogi aur jisne Namaz ki pabandi na ki WO Shakhs Qayamat ke din Qaroon ,hamaan ,Firoun aur Ubai bin Khalf ke saath hoga _,”
*📁Mishkaat- Ba hawala Ahmad ,Daarmi ,Bahyqi ,*
┱ Dekho Jo Namaz Ki pabandi na kare uska Hashr kese bade Kaafiro ke saath bataya hai ,Jo Kufr ke sargane the aur Khuda ke baagiyo ke zikr mai jinka zikr sabse Pehle aata hai , Unke saath Hashr hone ke kaam karna badi na samjhi hai , Buzurgo ne bataya hai k in Chaar Shakhso ka zikr isliye kiya hai k Namaz chhodne wale umuman Chaar qism ke hote hai’n :-
1– Jo Haakim hone ki vajah se Namaz chhodte hai’n, Ye log Firoun ke saathi hue kyunki WO Hukumat ki vajah se Allah ka baagi bana ,
2– Jo maaldaari ki vajah se Namaz nahi padhte Ye log Qaroon ke saathi honge kyunki WO maal ki vajah se Khuda e Ta’ala ka nafarmaan bana tha ,
3– Jo log mulazmat ,Naukri pesha ki vajah se Namaz nahi padhte ,Ye log Hamaan ke saath honge Kyunki usne Firoun ka Wazeer hone ki vajah se Khuda e Paak ki bagawat aur Sarkashi akhtyat ki thi ,

Salat / Prayer
Before we start..
There have been a few differences between the four great Imams and Salafi brothers on how to perform various aspects of prayer.
These differences are mainly due to following reasons:

- The methodology of fiqh adopted (Usool al Fiqh, Find books on this subject here)
- Interpretation of relevant references from prophetic traditions
- Aspects related to authenticity of ahadith adopted for forming specific rulings regarding Salah (Find books on this subject, Usool Al Hadith)

My opinion in this regard is that:
- Unless you know above three areas, do not get in to unnecessary argumentation and discussions
- If an opinion is based on authentic hadith, it should not be considered inappropriate merely because it differs from yours. Even companions used to have a few differences of opinion among themselves (which is perfectly normal and healthy). Difference of opinion should be dealt with respect and on scholarly basis.
- If you are confused about an issue, consult an authentic Islamic scholar

I have tried to mention school of thought with some books for guidance purposes only.

And Allah knows best.

Similar Apps

Kids Room Decoration Design

Kids Room Decoration Design

4.1

Kids Room Decorations app is collection of kids room Design Ideas with...

سورة يس - القرآن الكريم

سورة يس - القرآن الكريم

5.0

Simple application is being provided to you to get the blessings of...

نماز کا مکمل طریقہ - Namaz Ka

نماز کا مکمل طریقہ - Namaz Ka

5.0

Namaz ka tarika is a very useful android namaz app to learn...

Maani Al-Quran Word for Word U

Maani Al-Quran Word for Word U

0.0

Maani ul Quran al Kareem - قرآن پاک اردو ترجمہ App is...

Dua e Qunoot (دعاء قنوت) with

Dua e Qunoot (دعاء قنوت) with

5.0

Alhamdulilla we are Muslims and we should perform our prayers with the...

Noorani Qaida (نورانی قاعدہ) R

Noorani Qaida (نورانی قاعدہ) R

4.9

If you are looking forward to learn to read Quran in Arabic,...